abr viran jazire pe jhukta hua chand taron pe zulfen giraate hue
abr viran jazire pe jhukta hua chand taron pe zulfen giraate hue
Najma Saqib
MORE BYNajma Saqib
abr vīrāñ jazīre pe jhuktā huā chāñd tāroñ pe zulfeñ girāte hue
ghaaT par ek kashtī thī TuuTī huī pāniyoñ par kañval sarsarāte hue
chāñd imshab dabe paañv chaltā huā zard ashjār kī shāḳh par aa.egā
jal-parī jhaT se paanī meñ chhup jā.egī safha-e-āb par dil banāte hue
sārbānoñ ke uThte qadam ruk ga.e ik tamannā kī hiddat se dil jal uThā
dasht-e-ehsās meñ aag sī lag ga.ī muḌ ga.ī ūñTnī bilbilāte hue
būḌhā bargad ki jis kī jhukī shāḳh par kitnī nasloñ se haiñ kuchh parindoñ ke ghar
roz gintā huuñ us kī jatāoñ ke bal ghar ko aate hue ghar se jaate hue
Dūbne ke irāde se aayā magar der tak pāniyoñ ko hī taktā rahā
sāhiloñ kī havā jaane kyā kah ga.ī kaan meñ chal diyā muskurāte hue
raat mahkī huī chāñdnī ko liye āftābī qabīle ke ghar aa.ī thī
zard ḳhemoñ ke atrāf pakḌī ga.ī chobdāroñ se dāman chhuḌāte hue
shahr ke paar jangal kī dahlīz par chand ḳhūnī balāoñ kā asthān hai
ḳhushk tālāb par jo bhī aa ke rukā aa liyā tiir ne sansanāte hue
abr viran jazire pe jhukta hua chand taron pe zulfen giraate hue
ghaT par ek kashti thi TuTi hui paniyon par kanwal sarsaraate hue
chand imshab dabe panw chalta hua zard ashjar ki shaKH par aaega
jal-pari jhaT se pani mein chhup jaegi safha-e-ab par dil banate hue
sarbanon ke uThte qadam ruk gae ek tamanna ki hiddat se dil jal uTha
dasht-e-ehsas mein aag si lag gai muD gai unTni bilbilate hue
buDha bargad ki jis ki jhuki shaKH par kitni naslon se hain kuchh parindon ke ghar
roz ginta hun us ki jataon ke bal ghar ko aate hue ghar se jate hue
Dubne ke irade se aaya magar der tak paniyon ko hi takta raha
sahilon ki hawa jaane kya kah gai kan mein chal diya muskuraate hue
raat mahki hui chandni ko liye aaftabi qabile ke ghar aai thi
zard KHemon ke atraf pakDi gai chobdaron se daman chhuDate hue
shahr ke par jangal ki dahliz par chand KHuni balaon ka asthan hai
KHushk talab par jo bhi aa ke ruka aa liya tir ne sansanate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.