abru ka war aur dil-e-be-qarar par
abrū kā vaar aur dil-e-be-qarār par
kyoñ rakh liyā ġharīb ko ḳhanjar kī dhaar par
us barq-vash ne hañs ke mire hāl-e-zār par
bijlī girā.ī ḳhirman-e-sabr-o-qarār par
suniye to kuchh nahīñ ye burā mānñe kī baat
dil de to koī aap ko kis e.atibār par
lī hogī jiite jī mirī kuchh aap ne ḳhabar
kuchh ba.ad-e-marg ā.eñge mere mazār par
kunj-e-qafas se haa.e rihā.ī na ho sakī
har-chand andalīb ne maare hazār par
abru ka war aur dil-e-be-qarar par
kyon rakh liya gharib ko KHanjar ki dhaar par
us barq-wash ne hans ke mere haal-e-zar par
bijli girai KHirman-e-sabr-o-qarar par
suniye to kuchh nahin ye bura manne ki baat
dil de to koi aap ko kis eatibar par
li hogi jite ji meri kuchh aap ne KHabar
kuchh baad-e-marg aaenge mere mazar par
kunj-e-qafas se hae rihai na ho saki
har-chand andalib ne mare hazar par
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 93)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.