achanak rah mein chalte hue patthar nikal aae
achānak raah meñ chalte hue patthar nikal aa.e
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā se ham bāhar nikal aa.e
musībat meñ raheñ ham sābir-o-shākir to mumkin hai
ḳhudā ke hukm se sūrat koī behtar nikal aa.e
pas-e-parda bahut se log aise haiñ zamāne meñ
agar chhū deñ vo miTTī ko to phir gauhar nikal aa.e
bahut muhtāt rahne kī zarūrat hai yahāñ 'dānish'
na jaane kab kahāñ kis moḌ par ḳhanjar nikal aa.e
achanak rah mein chalte hue patthar nikal aae
KHayal-o-KHwab ki duniya se hum bahar nikal aae
musibat mein rahen hum sabir-o-shakir to mumkin hai
KHuda ke hukm se surat koi behtar nikal aae
pas-e-parda bahut se log aise hain zamane mein
agar chhu den wo miTTi ko to phir gauhar nikal aae
bahut muhtat rahne ki zarurat hai yahan 'danish'
na jaane kab kahan kis moD par KHanjar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.