achchha hai dil ke sath jo roe jigar ko hum
achchha hai dil ke sath jo roe jigar ko hum
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
achchhā hai dil ke saath jo ro.e jigar ko ham
bhūle hue the kyoñ nigah-e-fitna-gar ko ham
paayā use to kho ga.e ḳhud umr-bhar ko ham
vo kyā milā taras ga.e apnī ḳhabar ko ham
tum ko tumhāre husn kī dikhlā.eñge bahār
apnā sā kar sake jo tumhārī nazar ko ham
rahmat ḳhudā kī tujh pe ho ai be-ḳhudī-e-shauq
kab se talāsh karte the is rahguzar ko ham
us kī galī meñ aa ke sabhī bhūlte haiñ raah
DhūñDegā rāhbar hameñ aur rāhbar ko ham
ik naqsh-e-yās aisā hī darkār dil ko hai
phir dekh leñ bujhī huī sham-e-sahar ko ham
yārab tirī ḳhudā.ī ko ḳhatra lagā hai kyā
dekheñ kabhī to us but-e-kāfir-asar ko ham
kyā jānte the ham tū sitamgar hai is qadar
kyā dekh aa.e the tire qalb-o-jigar ko ham
is shauq meñ to aate hī jaate nazar paḌe
chhup-chhup ke dekhte haiñ tirī rahguzar ko ham
kaaTe kaTī hai kis se ḳhudāyā shab-e-firāq
tū hī dikhā.e ham ko to dekheñ sahar ko ham
vo sarf-e-nāz-e-husn thā ham mahv-e-zauq-e-dīd
vo ham ko dekhtā thā aur us kī nazar ko ham
kunj-e-qafas diyā hai to itnī sakat bhī de
toḌeñ taḌap taḌap ke har ik bāl-o-par ko ham
un kī ḳhushī yahī hai tū ġham meñ bhī ḳhush rahe
samjhā rahe haiñ der se is chashm-e-tar ko ham
ye naqsh-e-pā-e-nāz hai ik sham-e-husn kā
dil se lagā.e baiThe haiñ dāġh-e-jigar ko ham
apne junūn-e-dil kā 'junūñ' hai yahī ilaaj
laao ki sar pe Daal leñ us ḳhāk-e-dar ko ham
achchha hai dil ke sath jo roe jigar ko hum
bhule hue the kyon nigah-e-fitna-gar ko hum
paya use to kho gae KHud umr-bhar ko hum
wo kya mila taras gae apni KHabar ko hum
tum ko tumhaare husn ki dikhlaenge bahaar
apna sa kar sake jo tumhaari nazar ko hum
rahmat KHuda ki tujh pe ho ai be-KHudi-e-shauq
kab se talash karte the is rahguzar ko hum
us ki gali mein aa ke sabhi bhulte hain rah
DhunDega rahbar hamein aur rahbar ko hum
ek naqsh-e-yas aisa hi darkar dil ko hai
phir dekh len bujhi hui sham-e-sahar ko hum
yarab teri KHudai ko KHatra laga hai kya
dekhen kabhi to us but-e-kafir-asar ko hum
kya jaante the hum tu sitamgar hai is qadar
kya dekh aae the tere qalb-o-jigar ko hum
is shauq mein to aate hi jate nazar paDe
chhup-chhup ke dekhte hain teri rahguzar ko hum
kaTe kaTi hai kis se KHudaya shab-e-firaq
tu hi dikhae hum ko to dekhen sahar ko hum
wo sarf-e-naz-e-husn tha hum mahw-e-zauq-e-did
wo hum ko dekhta tha aur us ki nazar ko hum
kunj-e-qafas diya hai to itni sakat bhi de
toDen taDap taDap ke har ek baal-o-par ko hum
un ki KHushi yahi hai tu gham mein bhi KHush rahe
samjha rahe hain der se is chashm-e-tar ko hum
ye naqsh-e-pa-e-naz hai ek sham-e-husn ka
dil se lagae baiThe hain dagh-e-jigar ko hum
apne junun-e-dil ka 'junun' hai yahi ilaj
lao ki sar pe Dal len us KHak-e-dar ko hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.