achchha hai isi surat-e-haalat mein rahna
achchhā hai isī sūrat-e-hālāt meñ rahnā
din shahr meñ aur raat mazāfāt meñ rahnā
har raat sitāroñ ko zamīñ par liye phirnā
har sub.h kahīñ hamd-o-munājāt meñ rahnā
is bhiiḌ meñ gard-e-dar-o-dīvār hai itnī
mumkin hī nahīñ haath kisī haat meñ rahnā
us shaḳhs kī chāhat bhī ajab hai ki hamesha
ḳhātir meñ na laanā to mudārāt meñ rahnā
ye shahr samundar ke kināre pa hai ābād
is shahr meñ rahnā bhī to auqāt meñ rahnā
ham ahl-e-tarīqat kī yahī rasm rahī hai
zindān meñ yā halqa-e-sādāt meñ rahnā
dikhnā to 'salīm' apne ravayye hī pe dikhnā
ḳhush rahnā to apnī hī kisī baat meñ rahnā
achchha hai isi surat-e-haalat mein rahna
din shahr mein aur raat mazafat mein rahna
har raat sitaron ko zamin par liye phirna
har subh kahin hamd-o-munajat mein rahna
is bhiD mein gard-e-dar-o-diwar hai itni
mumkin hi nahin hath kisi hat mein rahna
us shaKHs ki chahat bhi ajab hai ki hamesha
KHatir mein na lana to mudaraat mein rahna
ye shahr samundar ke kinare pa hai aabaad
is shahr mein rahna bhi to auqat mein rahna
hum ahl-e-tariqat ki yahi rasm rahi hai
zindan mein ya halqa-e-sadat mein rahna
dikhna to 'salim' apne rawayye hi pe dikhna
KHush rahna to apni hi kisi baat mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.