achchha hai ya KHarab mujhe kuchh pata nahin
achchhā hai yā ḳharāb mujhe kuchh pata nahīñ
duniyā tirā hisāb mujhe kuchh pata nahīñ
muddat se niiñd āñkhoñ meñ aa.ī nahīñ mirī
kahte haiñ kis ko ḳhvāb mujhe kuchh pata nahīñ
us ne kiyā savāl tujhe mujh se pyaar hai
maiñ ne diyā javāb mujhe kuchh pata nahīñ
bhītar se mere koī mujhe de rahā sadā
hai kaun ye janāb mujhe kuchh pata nahīñ
aañsū atā kiye haiñ jo mahbūb aap ne
zamzam haiñ yā sharāb mujhe kuchh pata nahīñ
itnā pata hai qarz tirā mujh pe hai sanam
is kā magar hisāb mujhe kuchh pata nahīñ
mujh ko kabhī bhī din ke ujāle nahīñ mile
kaisā hai āftāb mujhe kuchh pata nahīñ
saaqī na mujh se pūchh mirī tishnagī kī had
thoḌī sī de sharāb mujhe kuchh pata nahīñ
achchha hai ya KHarab mujhe kuchh pata nahin
duniya tera hisab mujhe kuchh pata nahin
muddat se nind aankhon mein aai nahin meri
kahte hain kis ko KHwab mujhe kuchh pata nahin
us ne kiya sawal tujhe mujh se pyar hai
main ne diya jawab mujhe kuchh pata nahin
bhitar se mere koi mujhe de raha sada
hai kaun ye janab mujhe kuchh pata nahin
aansu ata kiye hain jo mahbub aap ne
zamzam hain ya sharab mujhe kuchh pata nahin
itna pata hai qarz tera mujh pe hai sanam
is ka magar hisab mujhe kuchh pata nahin
mujh ko kabhi bhi din ke ujale nahin mile
kaisa hai aaftab mujhe kuchh pata nahin
saqi na mujh se puchh meri tishnagi ki had
thoDi si de sharab mujhe kuchh pata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.