achchha jise kahte hain wo lagta hai bura bhi
achchhā jise kahte haiñ vo lagtā hai burā bhī
insān huuñ insān se hotī hai ḳhatā bhī
is shahr meñ insāf kī tārīf alag hai
jo jurm karā.e vahī detā hai sazā bhī
dastūr ye kaisā hai tirī bazm kā ai dost
jo zaḳhm lagā.e vahī detā hai davā bhī
hālāt kī āñdhī ne mirā kuchh na bigāḌā
maiñ jalne lagā aur ka.ī baar bujhā bhī
ye barhamī achchhī nahīñ chhoḌo bhī ye bāteñ
jab koī ta'alluq ho to hotā hai gila bhī
achchha jise kahte hain wo lagta hai bura bhi
insan hun insan se hoti hai KHata bhi
is shahr mein insaf ki tarif alag hai
jo jurm karae wahi deta hai saza bhi
dastur ye kaisa hai teri bazm ka ai dost
jo zaKHm lagae wahi deta hai dawa bhi
haalat ki aandhi ne mera kuchh na bigaDa
main jalne laga aur kai bar bujha bhi
ye barhami achchhi nahin chhoDo bhi ye baaten
jab koi ta'alluq ho to hota hai gila bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.