achchha jo bura aapne chaha na kisi ka
achchhā jo burā aap ne chāhā na kisī kā
dīvāna kyuuñ na ho dil-e-farzāna kisī kā
maanā ki hai us shoḳh se yārāna kisī kā
dam bhartā hai phir kyuuñ dil-e-dīvāna kisī kā
lau us kī faqat sham-e-risālat se lagī hai
mushtāq nahīñ bazm meñ parvāna kisī kā
aate nahīñ is rashk se vo ḳhāna-e-dil meñ
ābād na ho jaa.e ye vīrāna kisī kā
ai dil hai abas us se tamannā-e-mulāqāt
vo shoḳh na hogā kabhī apnā na kisī kā
un ke dur-e-dandāñ ke tasavvur meñ shab-e-hijr
har ashk dam-e-girya hai durdāna kisī kā
jaane se tire aa.e mire dil meñ ġham-o-rañj
pahle to sivā tere guzar thā na kisī kā
hargiz na sune vo gul-o-bulbul kī kahānī
ho gosh-zad us ke agar afsāna kisī kā
bole vo hujūm-e-ġham-o-hasrat ko jo dekhā
kyuuñ is meñ raheñ ham ki hai kāshāna kisī kā
kuchh duur nahīñ manzil-e-maqsūd yahāñ se
de saath agar himmat-e-mardāna kisī kā
aapas meñ jhagaḌte haiñ agar shaiḳh-o-barahman
masjid hī kisī kī hai na but-ḳhāna kisī kā
phir gulshan-e-jannat kī na ho aarzū us ko
maskan hai agar kūcha-e-jānāna kisī kā
allāh re rutba ki huā qais qadam-bos
sahrā meñ jo pahuñchā koī dīvāna kisī kā
bhaTTī meñ jo ho dafn koī bāda-kash-e-riñd
gumbad abhī ho jā.egā ḳhum-ḳhāna kisī kā
allāh re tajāhul mire ahbāb se pūchhā
dīvāna hai kyā 'sābir'-e-farzāna kisī kā
achchha jo bura aap ne chaha na kisi ka
diwana kyun na ho dil-e-farzana kisi ka
mana ki hai us shoKH se yarana kisi ka
dam bharta hai phir kyun dil-e-diwana kisi ka
lau us ki faqat sham-e-risalat se lagi hai
mushtaq nahin bazm mein parwana kisi ka
aate nahin is rashk se wo KHana-e-dil mein
aabaad na ho jae ye virana kisi ka
ai dil hai abas us se tamanna-e-mulaqat
wo shoKH na hoga kabhi apna na kisi ka
un ke dur-e-dandan ke tasawwur mein shab-e-hijr
har ashk dam-e-girya hai durdana kisi ka
jaane se tere aae mere dil mein gham-o-ranj
pahle to siwa tere guzar tha na kisi ka
hargiz na sune wo gul-o-bulbul ki kahani
ho gosh-zad us ke agar afsana kisi ka
bole wo hujum-e-gham-o-hasrat ko jo dekha
kyun is mein rahen hum ki hai kashana kisi ka
kuchh dur nahin manzil-e-maqsud yahan se
de sath agar himmat-e-mardana kisi ka
aapas mein jhagaDte hain agar shaiKH-o-barahman
masjid hi kisi ki hai na but-KHana kisi ka
phir gulshan-e-jannat ki na ho aarzu us ko
maskan hai agar kucha-e-jaanana kisi ka
allah re rutba ki hua qais qadam-bos
sahra mein jo pahuncha koi diwana kisi ka
bhaTTi mein jo ho dafn koi baada-kash-e-rind
gumbad abhi ho jaega KHum-KHana kisi ka
allah re tajahul mere ahbab se puchha
diwana hai kya 'sabir'-e-farzana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.