achchha lag jae kya bura lag jae
achchhā lag jaa.e kyā burā lag jaa.e
us kī qurbat meñ ḳhauf sā lag jaa.e
bas vo ik sarsarī nazar Daale
aur bīmār ko shifā lag jaa.e
us kā inkār aise lagtā hai
jaise paañv meñ kāñTā lag jaa.e
dhuñd meñ haath chhoḌne vaale
tujh ko mausam kī bad-duā lag jaa.e
kaise us kā vajūd sābit ho
mulhidoñ ko agar ḳhudā lag jaa.e
roz ik baaġh se guzarte hue
tujh badan kā muġhālta lag jaa.e
aap kyā soch kar kahīñ us ko
us kī marzī hai us ko kyā lag jaa.e
achchha lag jae kya bura lag jae
us ki qurbat mein KHauf sa lag jae
bas wo ek sarsari nazar Dale
aur bimar ko shifa lag jae
us ka inkar aise lagta hai
jaise panw mein kanTa lag jae
dhund mein hath chhoDne wale
tujh ko mausam ki bad-dua lag jae
kaise us ka wajud sabit ho
mulhidon ko agar KHuda lag jae
roz ek bagh se guzarte hue
tujh badan ka mughaalta lag jae
aap kya soch kar kahin us ko
us ki marzi hai us ko kya lag jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.