achchha mujhe karta hai main achchha nahin hota
achchhā mujhe kartā hai maiñ achchhā nahīñ hotā
phir aisā masīhā to masīhā nahīñ hotā
qismat kā dhanī thā maiñ tabhī jiit lī baazī
aisā nahīñ hotā jo maiñ aisā nahīñ hotā
vo chaak garebāñ mirā logoñ ko dikhāte
siitā hai magar suuī meñ dhāga nahīñ hotā
chehre pe har ik din ke likhī jaatī hai taqdīr
sūraj kā nikalnā hī saverā nahīñ hotā
logoñ ne 'shahāb' aise diye mujh meñ jalā.e
ab mujh ko nazar kā koī dhokā nahīñ hotā
achchha mujhe karta hai main achchha nahin hota
phir aisa masiha to masiha nahin hota
qismat ka dhani tha main tabhi jit li bazi
aisa nahin hota jo main aisa nahin hota
wo chaak gareban mera logon ko dikhate
sita hai magar sui mein dhaga nahin hota
chehre pe har ek din ke likhi jati hai taqdir
suraj ka nikalna hi sawera nahin hota
logon ne 'shahab' aise diye mujh mein jalae
ab mujh ko nazar ka koi dhoka nahin hota
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 459)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.