achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat
achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
achchhā nahīñ hotā kabhī bīmār-e-mohabbat
goyā marazul-maut hai āzār-e-mohabbat
kyoñ sard hai ab josh-e-ḳharīdār-e-mohabbat
kyā ho ga.ī vo garmī-e-bāzār-e-mohabbat
mā'lūm huā ab ki vo thiiñ bāteñ hī bāteñ
shoḳhī se sharārat se thā iqrār-e-mohabbat
yā aise vo bhūle ki samajhte hī nahīñ kuchh
yā ḳhud mujhe aatā nahīñ iz.hār-e-mohabbat
haiñ ek hī Dore meñ bañdhe shaiḳh-o-barahman
donoñ hī kī gardan meñ hai zunnār-e-mohabbat
gul-daste haiñ zaḳhmoñ ke kañval dāġhoñ ke dil meñ
kyā turfa hai ārā.ish-e-darbār-e-mohabbat
chitvan kahe detī hai ki ulfat hai use bhī
kyā farz hai muñh khol ke iqrār-e-mohabbat
lazzat vo shakar meñ na maza shahd kā aisā
kuchh aur hai shīrīnī-e-guftār-e-mohabbat
mahshar meñ 'ḳhayāl' aaj kareñ us kā gila kyā
duniyā meñ to karte rahe iz.hār-e-mohabbat
achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat
goya marazul-maut hai aazar-e-mohabbat
kyon sard hai ab josh-e-KHaridar-e-mohabbat
kya ho gai wo garmi-e-bazar-e-mohabbat
ma'lum hua ab ki wo thin baaten hi baaten
shoKHi se shararat se tha iqrar-e-mohabbat
ya aise wo bhule ki samajhte hi nahin kuchh
ya KHud mujhe aata nahin izhaar-e-mohabbat
hain ek hi Dore mein bandhe shaiKH-o-barahman
donon hi ki gardan mein hai zunnar-e-mohabbat
gul-daste hain zaKHmon ke kanwal daghon ke dil mein
kya turfa hai aaraish-e-darbar-e-mohabbat
chitwan kahe deti hai ki ulfat hai use bhi
kya farz hai munh khol ke iqrar-e-mohabbat
lazzat wo shakar mein na maza shahd ka aisa
kuchh aur hai shirini-e-guftar-e-mohabbat
mahshar mein 'KHayal' aaj karen us ka gila kya
duniya mein to karte rahe izhaar-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.