achchha ye karam hum pe to sayyaad kare hai
achchhā ye karam ham pe to sayyād kare hai
par noch ke ab qaid se āzād kare hai
chup-chāp paḌā rahve hai bīmār tumhārā
naala hī kare hai na vo fariyād kare hai
ai bād-e-sabā un se ye kah dījiyo jā kar
pardes meñ ik shaḳhs tumheñ yaad kare hai
farzāna ujāḌe hai bhare shahroñ ko lekin
dīvāna to sahrā ko bhī ābād kare hai
aave hai terā naam to hans deve hai aksar
dīvāna terā yuuñ bhī tujhe yaad kare hai
nisbat hai nagīne se ye bolī hai hamārī
kyā nāqid-e-fan ham se tū irshād kare hai
likh likh ke miTā deve hai tū naam ye kis kā
sach kahiyo 'sarosh' aaj kise yaad kare hai
achchha ye karam hum pe to sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazad kare hai
chup-chap paDa rahwe hai bimar tumhaara
nala hi kare hai na wo fariyaad kare hai
ai baad-e-saba un se ye kah dijiyo ja kar
pardes mein ek shaKHs tumhein yaad kare hai
farzana ujaDe hai bhare shahron ko lekin
diwana to sahra ko bhi aabaad kare hai
aawe hai tera nam to hans dewe hai aksar
diwana tera yun bhi tujhe yaad kare hai
nisbat hai nagine se ye boli hai hamari
kya naqid-e-fan hum se tu irshad kare hai
likh likh ke miTa dewe hai tu nam ye kis ka
sach kahiyo 'sarosh' aaj kise yaad kare hai
- Naqsh-e-Sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.