achchha ye tariqa hai saqi rindon mein hamara nam bhi hai
achchha ye tariqa hai saqi rindon mein hamara nam bhi hai
Hakim Mazhar Subhan Usmani
MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani
achchhā ye tarīqa hai saaqī rindoñ meñ hamārā naam bhī hai
piine bhī nahīñ detā ham ko piine kā magar ilzām bhī hai
duniyā ko dikhāne kī ḳhātir toḌūñgā na paimāna zāhid
tauhīn mazāq-e-zohd bhī hai tauhīn shikast-e-jām bhī hai
ārām meñ so jaanā kaisā taklīf meñ ghabrānā kaisā
is chaltī phirtī duniyā meñ taklīf bhī hai ārām bhī hai
ye terī hayāt-e-chand-nafas ibrat hai jahāñ vāloñ ke liye
ai phuul tere ā.īne meñ taklīf bhī hai ārām bhī hai
ai nīchī nazar vaale zālim tū tīr-e-nazar barsā.e jā
zaḳhmī hue ham to kyā hogā 'zaḳhmī' to hamārā naam bhī hai
achchha ye tariqa hai saqi rindon mein hamara nam bhi hai
pine bhi nahin deta hum ko pine ka magar ilzam bhi hai
duniya ko dikhane ki KHatir toDunga na paimana zahid
tauhin mazaq-e-zohd bhi hai tauhin shikast-e-jam bhi hai
aaram mein so jaana kaisa taklif mein ghabrana kaisa
is chalti phirti duniya mein taklif bhi hai aaram bhi hai
ye teri hayat-e-chand-nafas ibrat hai jahan walon ke liye
ai phul tere aaine mein taklif bhi hai aaram bhi hai
ai nichi nazar wale zalim tu tir-e-nazar barsae ja
zaKHmi hue hum to kya hoga 'zaKHmi' to hamara nam bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.