Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhe-bure KHayal ke baKHiye udhaD gae

Rashid Damohi

achchhe-bure KHayal ke baKHiye udhaD gae

Rashid Damohi

MORE BYRashid Damohi

    achchhe-bure ḳhayāl ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    un ke har ik savāl ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    is darja āshiqī ne ghasīTā hai dasht meñ

    majnūñ ḳhadd-o-ḳhāl ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    un ke javāb ne kiyā kuchh aisā lā-javāb

    vallāh arz-e-hāl ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    āġhāz-e-ishq merā huā jis rumāl se

    anjām tak rumāl ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    pardā uThāyā chāñd ne chehre se jis ghaḌī

    kāmil tire kamāl ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    chiḌiyoñ nannhī choñchoñ ye kamāl hai

    sayyād tere jaal ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    naqqād ne udheḌā hai 'rāshid' kuchh is tarah

    taḳh.īl-e-be-misāl ke baḳhiye udhaḌ ga.e

    achchhe-bure KHayal ke baKHiye udhaD gae

    un ke har ek sawal ke baKHiye udhaD gae

    is darja aashiqi ne ghasiTa hai dasht mein

    majnun ki KHadd-o-KHal ke baKHiye udhaD gae

    un ke jawab ne kiya kuchh aisa la-jawab

    wallah arz-e-haal ke baKHiye udhaD gae

    aaghaz-e-ishq mera hua jis rumal se

    anjam tak rumal ke baKHiye udhaD gae

    parda uThaya chand ne chehre se jis ghaDi

    kaamil tere kamal ke baKHiye udhaD gae

    chiDiyon ki nannhi chonchon ka hi ye kamal hai

    sayyaad tere jal ke baKHiye udhaD gae

    naqqad ne udheDa hai 'rashid' kuchh is tarah

    taKHil-e-be-misal ke baKHiye udhaD gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now