achchhi lagti hai mujhe is liye ghar ki surat
achchhi lagti hai mujhe is liye ghar ki surat
Saleem Akhtar Malik
MORE BYSaleem Akhtar Malik
achchhī lagtī hai mujhe is liye ghar kī sūrat
vo mire sāmne rahte haiñ sahar kī sūrat
tū mirī āñkhoñ meñ rahtā hai gulāboñ kī tarah
dekhtā huuñ maiñ tujhe ahl-e-nazar kī sūrat
mere ehsās kī duniyā meñ ujālā ho jaa.e
kaash maiñ dekh luuñ jā kar tire dar kī sūrat
be-dhaḌak maiñ tirī mahfil meñ chalā aatā huuñ
na koī ḳhauf kī sūrat hai na Dar kī sūrat
un ke aañsū na Thahar pā.eñge ruḳhsāroñ par
dekh leñ vo jo mire dīda-e-tar kī sūrat
dhuñdlā dhuñdlā nazar aatā hai jahān-e-rangīñ
ab vo pahlī sī nahīñ shams-o-qamar kī sūrat
phuul īsār ke murjhā nahīñ sakte 'aḳhtar'
ḳhair ke sāmne phaltī nahīñ shar kī sūrat
achchhi lagti hai mujhe is liye ghar ki surat
wo mere samne rahte hain sahar ki surat
tu meri aankhon mein rahta hai gulabon ki tarah
dekhta hun main tujhe ahl-e-nazar ki surat
mere ehsas ki duniya mein ujala ho jae
kash main dekh lun ja kar tere dar ki surat
be-dhaDak main teri mahfil mein chala aata hun
na koi KHauf ki surat hai na Dar ki surat
un ke aansu na Thahar paenge ruKHsaron par
dekh len wo jo mere dida-e-tar ki surat
dhundla dhundla nazar aata hai jahan-e-rangin
ab wo pahli si nahin shams-o-qamar ki surat
phul isar ke murjha nahin sakte 'aKHtar'
KHair ke samne phalti nahin shar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.