Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhi nahin sawal pe sail se chheD-chhaD

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

achchhi nahin sawal pe sail se chheD-chhaD

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar

    achchhī nahīñ savāl pe saa.il se chheḌ-chhāḌ

    kyā samajh ke tum ne mire dil se chheḌ-chhāḌ

    hai mujh se qaid-o-band jhagḌā lagā huā

    rahtī hai roz tauq-o-salāsil se chheḌ-chhāḌ

    lailā naam bhī nahīñ sahrā-e-najd meñ

    majnūñ abas hai ab kisī mahmil se chheḌ-chhāḌ

    ab chheḌtī hai aa ke vo yād-e-chaman mujhe

    rahtī thī jab guloñ se anādil se chheḌ-chhāḌ

    saaqī sharāb-e-nāb uḌtā chalā hai rang

    uThtī chalī hai ab tirī mahfil se chheḌ-chhāḌ

    kaTtī chalī hai manzil-e-ulfat usī tarah

    hotī chalī hai rahbar-e-manzil se chheḌ-chhāḌ

    mahfil se un baḌh ke ye zālim uThā na de

    kuchh dard kar rahā hai mire dil se chheḌ-chhāḌ

    ye shoḳhiyāñ haiñ āmad-e-fasl-e-bahār

    kaliyāñ jo kar rahī haiñ anādil se chheḌ-chhāḌ

    ā.īna dekhte vo ḳhāmosh ho ga.e

    kuchh kar na sake madd-e-muqābil se chheḌ-chhāḌ

    denā use hai miT ke jahāñ ko fanā dars

    kartī hai mauj is liye sāhil se chheḌ-chhāḌ

    'ḳhushtar' nikal ā.eñgī bāteñ bhī kaam

    karte rahā karo kisī aaqil se chheḌ-chhāḌ

    achchhi nahin sawal pe sail se chheD-chhaD

    ki kya samajh ke tum ne mere dil se chheD-chhaD

    hai mujh se qaid-o-band ka jhagDa laga hua

    rahti hai roz tauq-o-salasil se chheD-chhaD

    laila ka nam bhi nahin sahra-e-najd mein

    majnun abas hai ab kisi mahmil se chheD-chhaD

    ab chheDti hai aa ke wo yaad-e-chaman mujhe

    rahti thi jab gulon se anadil se chheD-chhaD

    saqi sharab-e-nab ka uDta chala hai rang

    uThti chali hai ab teri mahfil se chheD-chhaD

    kaTti chali hai manzil-e-ulfat usi tarah

    hoti chali hai rahbar-e-manzil se chheD-chhaD

    mahfil se un ki baDh ke ye zalim uTha na de

    kuchh dard kar raha hai mere dil se chheD-chhaD

    ye shoKHiyan hain aamad-e-fasl-e-bahaar ki

    kaliyan jo kar rahi hain anadil se chheD-chhaD

    aaina dekhte hi wo KHamosh ho gae

    kuchh kar na sake madd-e-muqabil se chheD-chhaD

    dena use hai miT ke jahan ko fana ka dars

    karti hai mauj is liye sahil se chheD-chhaD

    'KHushtar' nikal hi aaengi baaten bhi kaam ki

    karte raha karo kisi aaqil se chheD-chhaD

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now