achchhi nahin ye KHamushi shikwa karo gila karo
Interesting Fact
Kahte hain soz soz jo yun hi jalaa karo (Meer Soz)
achchhī nahīñ ye ḳhāmushī shikva karo gila karo
yuuñ bhī na kar sako to phir ghar meñ ḳhudā ḳhudā karo
shohrat bhī us ke saath hai daulat bhī us ke haath hai
ḳhud se bhī vo mile kabhī us ke liye duā karo
dekho ye shahr hai ajab dil bhī nahīñ hai kam ġhazab
shaam ko ghar jo aa.uuñ maiñ thoḌā sā saj liyā karo
dil meñ jise basāo tum chāñd use banāo tum
vo jo kahe paḌhā karo jo na kahe sunā karo
merī nashist pe bhī kal aa.egā koī dūsrā
tum bhī banā ke rāsta mere liye jagah karo
achchhi nahin ye KHamushi shikwa karo gila karo
yun bhi na kar sako to phir ghar mein KHuda KHuda karo
shohrat bhi us ke sath hai daulat bhi us ke hath hai
KHud se bhi wo mile kabhi us ke liye dua karo
dekho ye shahr hai ajab dil bhi nahin hai kam ghazab
sham ko ghar jo aaun main thoDa sa saj liya karo
dil mein jise basao tum chand use banao tum
wo jo kahe paDha karo jo na kahe suna karo
meri nashist pe bhi kal aaega koi dusra
tum bhi bana ke rasta mere liye jagah karo
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 603)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.