achchhi se achchhi aab-o-hawa ke baghair bhi
achchhī se achchhī āb-o-havā ke baġhair bhī
zinda haiñ kitne log davā ke baġhair bhī
sāñsoñ kā kārobār badan kī zarūrateñ
sab kuchh to chal rahā hai duā ke baġhair bhī
barsoñ se is makān meñ rahte haiñ chand log
ik dūsre ke saath vafā ke baġhair bhī
ab zindagī kā koī bharosa nahīñ rahā
marne lage haiñ log qazā ke baġhair bhī
ham be-qusūr log bhī dilchasp log haiñ
sharminda ho rahe haiñ ḳhatā ke baġhair bhī
chāragarī batā.e agar kuchh ilaaj hai
dil TūTne lage haiñ sadā ke baġhair bhī
achchhi se achchhi aab-o-hawa ke baghair bhi
zinda hain kitne log dawa ke baghair bhi
sanson ka karobar badan ki zaruraten
sab kuchh to chal raha hai dua ke baghair bhi
barson se is makan mein rahte hain chand log
ek dusre ke sath wafa ke baghair bhi
ab zindagi ka koi bharosa nahin raha
marne lage hain log qaza ke baghair bhi
hum be-qusur log bhi dilchasp log hain
sharminda ho rahe hain KHata ke baghair bhi
chaaragari batae agar kuchh ilaj hai
dil TuTne lage hain sada ke baghair bhi
- Book : Shahdaba (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.