Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhi thi ya buri thi bas ek haal par gai

Salik Lakhnavi

achchhi thi ya buri thi bas ek haal par gai

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    achchhī thī burī thī bas ik haal par ga.ī

    ye zindagī guzarne shai thī guzar ga.ī

    rahzan hoñ jis ke rahnumā us kārvāñ ḳhair

    kis rah-guzar se pūchhūñ ki manzil kidhar ga.ī

    vo harf-e-haq vo justujū ye hasratoñ ke Dher

    lāsheñ paḌī huī haiñ jahāñ tak nazar ga.ī

    kis kho meñ muñh chhupā.e haiñ jin ke baḌe the bol

    vo inqilāb-ḳhez hikāyat kidhar ga.ī

    is daur meñ jo dekhe haiñ manzar na pūchhiye

    jhūToñ ke hāthoñ sachchoñ Topī utar ga.ī

    sahmā huā zamīr hai taale zabāñ pe haiñ

    haq mar gayā ye shahr meñ kaise ḳhabar ga.ī

    achchhi thi ya buri thi bas ek haal par gai

    ye zindagi guzarne ki shai thi guzar gai

    rahzan hon jis ke rahnuma us karwan ki KHair

    kis rah-guzar se puchhun ki manzil kidhar gai

    wo harf-e-haq wo justuju ye hasraton ke Dher

    lashen paDi hui hain jahan tak nazar gai

    kis kho mein munh chhupae hain jin ke baDe the bol

    wo inqilab-KHez hikayat kidhar gai

    is daur mein jo dekhe hain manzar na puchhiye

    jhuTon ke hathon sachchon ki Topi utar gai

    sahma hua zamir hai tale zaban pe hain

    haq mar gaya ye shahr mein kaise KHabar gai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now