achhuta gar nahin mazmun to sada bandh lete hain
achhūtā gar nahīñ mazmūñ to saada bāñdh lete haiñ
ġhazal ik aur likhne kā irāda bāñdh lete haiñ
kahāñ qismat meñ sheroñ kī ḳhazīne ab ḳhayāloñ ke
ham aksar apnī sochoñ kā burāda bāñdh lete haiñ
vahī chāhat ki maiñ jis meñ rahā huuñ mubtalā barsoñ
ḳhayāl aayā to sochā phir i.aada bāñdh lete haiñ
gañvā dete haiñ haath aa.ī ḳhushī ko ham yūñhī aksar
mile gar ġham zarūrat se ziyāda bāñdh lete haiñ
musāfir the musāfir haiñ masāfat rach ga.ī ḳhuuñ meñ
safar kā naam le koī to jaada bāñdh lete haiñ
agarche tang rahtā hai hamesha qāfiya apnā
hamārā hausla phir bhī kushāda bāñdh lete haiñ
achhuta gar nahin mazmun to sada bandh lete hain
ghazal ek aur likhne ka irada bandh lete hain
kahan qismat mein sheron ki KHazine ab KHayalon ke
hum aksar apni sochon ka burada bandh lete hain
wahi chahat ki main jis mein raha hun mubtala barson
KHayal aaya to socha phir iada bandh lete hain
ganwa dete hain hath aai KHushi ko hum yunhi aksar
mile gar gham zarurat se ziyaada bandh lete hain
musafir the musafir hain masafat rach gai KHun mein
safar ka nam le koi to jada bandh lete hain
agarche tang rahta hai hamesha qafiya apna
hamara hausla phir bhi kushada bandh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.