ada-e-dil-baran badli hui hai
adā-e-dil-barāñ badlī huī hai
mohabbat kī zabāñ badlī huī hai
saje haiñ aslahe almāriyoñ meñ
khilaunoñ kī dukāñ badlī huī hai
ḳhalāoñ meñ tasādum ke sabab se
fazā-e-āsmāñ badlī huī hai
kahāñ se phuul gulshan meñ khileñge
bahār-e-gulsitāñ badlī huī hai
añdhere sub.h tak dam toḌ deñge
ridā-e-kahkashāñ badlī huī hai
vahī shikve gile haiñ zindagī meñ
kahāñ tarz-e-fuġhāñ badlī huī hai
hudī-ḳhvāñ bhuul baiThe tarz apnī
ki sahrā kī azaañ badlī huī hai
ināyat kī nazar hai dushmanoñ par
nigāh-e-dostāñ badlī huī hai
safīne haiñ ravāñ 'siddīq' ab bhī
magar samt-e-ravāñ badlī huī hai
ada-e-dil-baran badli hui hai
mohabbat ki zaban badli hui hai
saje hain aslahe almariyon mein
khilaunon ki dukan badli hui hai
KHalaon mein tasadum ke sabab se
faza-e-asman badli hui hai
kahan se phul gulshan mein khilenge
bahaar-e-gulsitan badli hui hai
andhere subh tak dam toD denge
rida-e-kahkashan badli hui hai
wahi shikwe gile hain zindagi mein
kahan tarz-e-fughan badli hui hai
hudi-KHwan bhul baiThe tarz apni
ki sahra ki azan badli hui hai
inayat ki nazar hai dushmanon par
nigah-e-dostan badli hui hai
safine hain rawan 'siddiq' ab bhi
magar samt-e-rawan badli hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.