ada karti hun shukrana main in haalat ka apne
adā kartī huuñ shukrāna maiñ in hālāt kā apne
diye haiñ jis ne merī jāgtī āñkhoñ ko ye sapne
na samjho zindagānī ko ki hai ye sej phūloñ kī
ka.ī kāñTe haiñ rāhoñ meñ sar-e-manzil ka.ī raḳhne
munavvar jin kā ghar karne nasheman ko jalā Daalā
vahī pūchhe haiñ ab ham se ki kab jāoge ghar apne
kitāb-e-zindagī merī samajh meñ kuchh nahīñ aatī
vahī kātib vahī munsif 'amal hai sirf sar apne
muqaddar meñ jo likkhā hai kabhī vo Tal nahīñ saktā
batāyā hai magar dār-ul-'amal duniyā ko to rab ne
mirī ḳhāmoshiyoñ se tum mujhe kamzor mat samjho
takallum ke binā bhī mā’rke haiñ sar kiye ham ne
ada karti hun shukrana main in haalat ka apne
diye hain jis ne meri jagti aankhon ko ye sapne
na samjho zindagani ko ki hai ye sej phulon ki
kai kanTe hain rahon mein sar-e-manzil kai raKHne
munawwar jin ka ghar karne nasheman ko jala Dala
wahi puchhe hain ab hum se ki kab jaoge ghar apne
kitab-e-zindagi meri samajh mein kuchh nahin aati
wahi katib wahi munsif 'amal hai sirf sar apne
muqaddar mein jo likkha hai kabhi wo Tal nahin sakta
bataya hai magar dar-ul-'amal duniya ko to rab ne
meri KHamoshiyon se tum mujhe kamzor mat samjho
takallum ke bina bhi ma’rke hain sar kiye hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.