ada mujhko na koi ras aai
adā mujh ko na koī raas aa.ī
mujhe bas diid terī raas aa.ī
ġhulāmī kī paḌī thī jin ko 'ādat
unheñ kab tāj-dārī raas aa.ī
yaqīnan vo tirā dīvāna hogā
jise TuuTī chatā.ī raas aa.ī
musalsal zaḳhm ham ko to mile haiñ
hameñ kab zindagānī raas aa.ī
du'ā kī ahmiyat maiñ jāntā huuñ
musībat meñ du'ā hī raas aa.ī
koī qissa na aayā raas dil ko
mohabbat kī kahānī raas aa.ī
muqaddar hai 'qamar' tārīk jin kā
kab un ko zau-fishānī raas aa.ī
ada mujh ko na koi ras aai
mujhe bas did teri ras aai
ghulami ki paDi thi jin ko 'adat
unhen kab taj-dari ras aai
yaqinan wo tera diwana hoga
jise TuTi chatai ras aai
musalsal zaKHm hum ko to mile hain
hamein kab zindagani ras aai
du'a ki ahmiyat main jaanta hun
musibat mein du'a hi ras aai
koi qissa na aaya ras dil ko
mohabbat ki kahani ras aai
muqaddar hai 'qamar' tarik jin ka
kab un ko zau-fishani ras aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.