ada na dekhi koi unki be-ruKHi ki tarah
ada na dekhi koi unki be-ruKHi ki tarah
Mardan Ali Khan Nishat
MORE BYMardan Ali Khan Nishat
adā na dekhī koī un kī be-ruḳhī kī tarah
vo ham se milne bhī aa.e to ajnabī kī tarah
uThāo jaam piyo mai ki mausam-e-gul hai
chaTak rahā hai badan us kā chāñdnī kī tarah
bas itnī arz hai tujh se ai dāvar-e-mahshar
sazā mile na hameñ koī zindagī kī tarah
jo ajnabī the yahāñ shahryār ban baiThe
jo shahryār the rahte haiñ ajnabī kī tarah
nigāh-e-nāz kī sar-mastiyāñ 'nishāt' na pūchh
surūr is kā bhī rahtā hai mai-kashī kī tarah
ada na dekhi koi un ki be-ruKHi ki tarah
wo hum se milne bhi aae to ajnabi ki tarah
uThao jam piyo mai ki mausam-e-gul hai
chaTak raha hai badan us ka chandni ki tarah
bas itni arz hai tujh se ai dawar-e-mahshar
saza mile na hamein koi zindagi ki tarah
jo ajnabi the yahan shahryar ban baiThe
jo shahryar the rahte hain ajnabi ki tarah
nigah-e-naz ki sar-mastiyan 'nishat' na puchh
surur is ka bhi rahta hai mai-kashi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.