ada na hon jab suKHan zaban se harir jaise
adā na hoñ jab suḳhan zabāñ se harīr jaise
nikālnā is kamān se lafz tiir jaise
ajiib rut hai anaaj māñge hai ab havā bhī
har ek dar pe ye dastakeñ de faqīr jaise
sabhī ke hāthoñ meñ maas jalne kī bū rachī hai
jhulas rahī ho ḳhulūs kī har lakīr jaise
maiñ apne aalam meñ tere aalam se pūchhtā huuñ
vahāñ bhī baste haiñ log kyā mujh asiir jaise
use bhī ab hirz-e-jāñ banānā paḌegā 'aḳhtar'
ki ho gayā hai harīf raushan zamīr jaise
ada na hon jab suKHan zaban se harir jaise
nikalna is kaman se lafz tir jaise
ajib rut hai anaj mange hai ab hawa bhi
har ek dar pe ye dastaken de faqir jaise
sabhi ke hathon mein mas jalne ki bu rachi hai
jhulas rahi ho KHulus ki har lakir jaise
main apne aalam mein tere aalam se puchhta hun
wahan bhi baste hain log kya mujh asir jaise
use bhi ab hirz-e-jaan banana paDega 'aKHtar'
ki ho gaya hai harif raushan zamir jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.