Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adaen zalim nigahen qatil sarapa KHanjar milenge kaise

Mahwar Sirsivi

adaen zalim nigahen qatil sarapa KHanjar milenge kaise

Mahwar Sirsivi

MORE BYMahwar Sirsivi

    adā.eñ zālim nigāheñ qātil sarāpā ḳhanjar mileñge kaise

    laboñ pe ta.ane hai talḳh lahja hai qalb patthar mileñge kaise

    zamāne vaale burā kaheñge bhalā kaheñge na jiine deñge

    agarche aate na jaate dekhā tumhāre ghar par mileñge kaise

    agar divāroñ ke kaan hote haiñ phir to āñkheñ bhī hotī hoñgī

    to phir batāo mohabbatoñ mahal sajā kar mileñge kaise

    na tere ghar vaale raazī hoñge na mere ghar vaale raazī hoñge

    na mujh se aatā hai koī jaadū na koī mantar mileñge kaise

    savāl āḳhir maiñ kar rahā huuñ javāb āḳhir durust denā

    mazāq chhoḌo batā bhī do ab ai mere dilbar mileñge kaise

    agarche milnā hai tum ko mujh se to koī dīgar jagah batāo

    tamām ahbāb hoñge mere so ghanTa-ghar par mileñge kaise

    kiyā jo iz.hār-e-ishq maiñ ne to ro ke kahne lagā ye hamdam

    mujhe bhī behad hai ishq tum se batāo 'mahvar' mileñge kaise

    adaen zalim nigahen qatil sarapa KHanjar milenge kaise

    labon pe tane hai talKH lahja hai qalb patthar milenge kaise

    zamane wale bura kahenge bhala kahenge na jine denge

    agarche aate na jate dekha tumhaare ghar par milenge kaise

    agar diwaron ke kan hote hain phir to aankhen bhi hoti hongi

    to phir batao mohabbaton ka mahal saja kar milenge kaise

    na tere ghar wale raazi honge na mere ghar wale raazi honge

    na mujh se aata hai koi jadu na koi mantar milenge kaise

    sawal aaKHir main kar raha hun jawab aaKHir durust dena

    mazaq chhoDo bata bhi do ab ai mere dilbar milenge kaise

    agarche milna hai tum ko mujh se to koi digar jagah batao

    tamam ahbab honge mere so ghanTa-ghar par milenge kaise

    kiya jo izhaar-e-ishq main ne to ro ke kahne laga ye hamdam

    mujhe bhi behad hai ishq tum se batao 'mahwar' milenge kaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now