adab ki aaD mein qaziye bahut nikalte hain
adab kī aaḌ meñ qaziye bahut nikalte haiñ
ġhazal ke shahr se fatve bahut nikalte haiñ
nazar meñ ham ne bahut se gulāb rakh to liye
magar ab aañkh se kāñTe bahut nikalte haiñ
suno libās-e-sharāfat sañbhāl kar rakhnā
safed rang pe dhabbe bahut nikalte haiñ
purāne dost jo college ke mil ke baiTheñ to
hasīn chehroñ ke charche bahut nikalte haiñ
hamāre saath chale ho magar ye dhyān rahe
vafā ke rāste kachche bahut nikalte haiñ
us ik maqām pe jaane ke rāste haiñ bahut
us ik maqām se raste bahut nikalte haiñ
har ik qabā-e-ta'alluq utaar do 'dilbar'
ab in libāsoñ ke baḳhiye bahut nikalte haiñ
adab ki aaD mein qaziye bahut nikalte hain
ghazal ke shahr se fatwe bahut nikalte hain
nazar mein hum ne bahut se gulab rakh to liye
magar ab aankh se kanTe bahut nikalte hain
suno libas-e-sharafat sanbhaal kar rakhna
safed rang pe dhabbe bahut nikalte hain
purane dost jo college ke mil ke baiThen to
hasin chehron ke charche bahut nikalte hain
hamare sath chale ho magar ye dhyan rahe
wafa ke raste kachche bahut nikalte hain
us ek maqam pe jaane ke raste hain bahut
us ek maqam se raste bahut nikalte hain
har ek qaba-e-ta'alluq utar do 'dilbar'
ab in libason ke baKHiye bahut nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.