adab ki ilm-o-fan ki ek mukammal dastan main hun
adab kī ilm-o-fan kī ik mukammal dāstāñ maiñ huuñ
maiñ urdu huuñ maiñ urdu duḳhtar-e-hindostāñ maiñ huuñ
yahāñ maiñ huuñ vahāñ maiñ huuñ ayaañ maiñ huuñ nihāñ maiñ huuñ
makīñ maiñ huuñ makāñ maiñ huuñ zamīñ maiñ huuñ zamāñ maiñ huuñ
yahī to ek jaañ do jism hone kī alāmat hai
jahāñ maiñ huuñ vahāñ tū hai jahāñ tū hai vahāñ maiñ huuñ
maiñ gul huuñ maiñ bahārāñ maiñ hī rang-o-nūr aur nik.hat
nigāh-e-dil se dekhūñ shāhkār-e-gulsitāñ maiñ huuñ
jahāñ kī be-ruḳhī se tum kabhī māyūs mat honā
tumhārā āshnā maiñ huuñ tumhārā qadr-dāñ maiñ huuñ
tujhe ye naaz terī sar-zamīñ hai gulshan-e-jannat
mujhe ye faḳhr hai bāshinda-e-hindostāñ maiñ huuñ
maiñ 'anvar' huuñ mujhe samjho mujhe dekho paḌho mujh ko
har ik majmūa-e-ulfat kā kāmil tarjumāñ maiñ huuñ
adab ki ilm-o-fan ki ek mukammal dastan main hun
main urdu hun main urdu duKHtar-e-hindostan main hun
yahan main hun wahan main hun ayan main hun nihan main hun
makin main hun makan main hun zamin main hun zaman main hun
yahi to ek jaan do jism hone ki alamat hai
jahan main hun wahan tu hai jahan tu hai wahan main hun
main gul hun main bahaaran main hi rang-o-nur aur nikhat
nigah-e-dil se dekhun shahkar-e-gulsitan main hun
jahan ki be-ruKHi se tum kabhi mayus mat hona
tumhaara aashna main hun tumhaara qadr-dan main hun
tujhe ye naz teri sar-zamin hai gulshan-e-jannat
mujhe ye faKHr hai bashinda-e-hindostan main hun
main 'anwar' hun mujhe samjho mujhe dekho paDho mujh ko
har ek majmua-e-ulfat ka kaamil tarjuman main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.