adab se zikr mera majnun-o-farhad karte hain
adab se zikr mera majnun-o-farhad karte hain
Shaheer Machlishahri
MORE BYShaheer Machlishahri
adab se zikr merā majnūñ-o-farhād karte haiñ
mirī shāgirdī par ai ishq faḳhr ustād karte haiñ
tamanna thī kabhī ye aa ke kahtā chobdār un kā
uTho jaldī chalo sarkār tum ko yaad karte haiñ
tumhāre ḳhuftagān-e-ḳhāk kā hai ik judā aalam
na.ī duniyā ye sab zer-e-zamīñ ābād karte haiñ
hameñ to dekhnā hai un kī bazm-e-nāz meñ chal kar
kise vo shaad karte haiñ kise nāshād karte haiñ
gale kaTvā ke vo nāla-kashoñ kī jaan lete haiñ
nayā shahr-e-ḳhamoshāñ in dinoñ ābād karte haiñ
hasīnoñ kī jafā hai tāziyāna ham ko ġhaflat kā
butoñ ke zulm par apne ḳhudā ko yaad karte haiñ
na thā kuchh duur gulshan bhī qafas hī le ke uḌ jaate
magar pās-o-lihāz-e-ḳhātir-e-sayyād karte haiñ
ḳhabar detī haiñ aa aa kar ye mujh ko hichkiyāñ merī
mubārak ho tumheñ bhūle jo the vo yaad karte haiñ
falak ke siine se bhī paar hoñge tiir aahoñ ke
farishtoñ se kaho haT jaa.eñ ham fariyād karte haiñ
khaḌe haiñ der se ham intizār-e-hukm-e-ālī meñ
hamāre haq meñ āḳhir aap kyā irshād karte haiñ
vufūr-e-ġham se bachchoñ kī tarah ham rone lagte haiñ
kabhī piirī meñ jab apnī javānī yaad karte haiñ
laḌakpan meñ paḌhā thā bāb-e-panjum jo gulistāñ kā
'shahīr' ab aap piirī meñ use kyoñ yaad karte haiñ
adab se zikr mera majnun-o-farhad karte hain
meri shagirdi par ai ishq faKHr ustad karte hain
tamanna thi kabhi ye aa ke kahta chobdar un ka
uTho jaldi chalo sarkar tum ko yaad karte hain
tumhaare KHuftagan-e-KHak ka hai ek juda aalam
nai duniya ye sab zer-e-zamin aabaad karte hain
hamein to dekhna hai un ki bazm-e-naz mein chal kar
kise wo shad karte hain kise nashad karte hain
gale kaTwa ke wo nala-kashon ki jaan lete hain
naya shahr-e-KHamoshan in dinon aabaad karte hain
hasinon ki jafa hai taziyana hum ko ghaflat ka
buton ke zulm par apne KHuda ko yaad karte hain
na tha kuchh dur gulshan bhi qafas hi le ke uD jate
magar pas-o-lihaz-e-KHatir-e-sayyaad karte hain
KHabar deti hain aa aa kar ye mujh ko hichkiyan meri
mubarak ho tumhein bhule jo the wo yaad karte hain
falak ke sine se bhi par honge tir aahon ke
farishton se kaho haT jaen hum fariyaad karte hain
khaDe hain der se hum intizar-e-hukm-e-ali mein
hamare haq mein aaKHir aap kya irshad karte hain
wufur-e-gham se bachchon ki tarah hum rone lagte hain
kabhi piri mein jab apni jawani yaad karte hain
laDakpan mein paDha tha bab-e-panjum jo gulistan ka
'shahir' ab aap piri mein use kyon yaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.