adam ke jaane walon ko bulaya ja nahin sakta
adam ke jaane vāloñ ko bulāyā jā nahīñ saktā
kuchh aisī niiñd so.e haiñ jagāyā jā nahīñ saktā
zarā sī baat par itnā na tum rūThā karo mujh se
mirā kuchh haal hai aisā batāyā jā nahīñ saktā
mire hī ġham-kada meñ luT ga.iiñ ḳhushiyāñ mire dil kī
ḳhushī kā koī naġhma aaj gaayā jā nahīñ saktā
jo apne maslak-o-īmāñ se haT kar jā rahā hogā
kujā manzil ki us se kuchh bhī paayā jā nahīñ saktā
'zafar' kī kaifiyat ko jaan kar kyā kar sakoge tum
vo zaḳhmī dil hai us kā ki dikhāyā jā nahīñ saktā
adam ke jaane walon ko bulaya ja nahin sakta
kuchh aisi nind soe hain jagaya ja nahin sakta
zara si baat par itna na tum ruTha karo mujh se
mera kuchh haal hai aisa bataya ja nahin sakta
mere hi gham-kada mein luT gain KHushiyan mere dil ki
KHushi ka koi naghma aaj gaya ja nahin sakta
jo apne maslak-o-iman se haT kar ja raha hoga
kuja manzil ki us se kuchh bhi paya ja nahin sakta
'zafar' ki kaifiyat ko jaan kar kya kar sakoge tum
wo zaKHmi dil hai us ka ki dikhaya ja nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.