adam ke sath khaDe hain wajud kuchh bhi nahin
adam ke saath khaḌe haiñ vajūd kuchh bhī nahīñ
ye zindagī hai faqat khel-kūd kuchh bhī nahīñ
hameñ to ranj kī daulat ne mālā-māl kiyā
use malāl ki ye sharh-e-sūd kuchh bhī nahīñ
ḳhudā kā shukr hai sab ūñch-nīch ḳhatm huī
zamīñ ke nīche to nām-o-numūd kuchh bhī nahīñ
ham apne paaoñ kī zanjīr aap the varna
ye zābte ye hudūd-o-quyūd kuchh bhī nahīñ
bas intizār thā āñkhoñ ke band hone kā
hameñ ḳhabar thī ki ye hast-o-būd kuchh bhī nahīñ
vo apne aap se rāh-e-farār thī varna
junūn kuchh bhī nahīñ hai jumūd kuchh bhī nahīñ
mire gale meñ hai ta.avīz us kī bāñhoñ kā
vo jis ke sāmne ye dam darūd kuchh bhī nahīñ
bhaḌakte shāloñ se hargiz dhuāñ nahīñ uThnā
ye aag aag sarāsar hai duud kuchh bhī nahīñ
hamārī ḳhud se adāvat hai vo ḳhudā kī panāh
muqāble meñ yahūd-o-hunūd kuchh bhī nahīñ
amal kā saarā hai dār-o-madār niyyat par
baġhair is ke rukū-o-sujūd kuchh bhī nahīñ
adam ke sath khaDe hain wajud kuchh bhi nahin
ye zindagi hai faqat khel-kud kuchh bhi nahin
hamein to ranj ki daulat ne mala-mal kiya
use malal ki ye sharh-e-sud kuchh bhi nahin
KHuda ka shukr hai sab unch-nich KHatm hui
zamin ke niche to nam-o-numud kuchh bhi nahin
hum apne paon ki zanjir aap the warna
ye zabte ye hudud-o-quyud kuchh bhi nahin
bas intizar tha aankhon ke band hone ka
hamein KHabar thi ki ye hast-o-bud kuchh bhi nahin
wo apne aap se rah-e-farar thi warna
junun kuchh bhi nahin hai jumud kuchh bhi nahin
mere gale mein hai tawiz us ki banhon ka
wo jis ke samne ye dam darud kuchh bhi nahin
bhaDakte shaalon se hargiz dhuan nahin uThna
ye aag aag sarasar hai dud kuchh bhi nahin
hamari KHud se adawat hai wo KHuda ki panah
muqable mein yahud-o-hunud kuchh bhi nahin
amal ka sara hai dar-o-madar niyyat par
baghair is ke ruku-o-sujud kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.