adam se lai hai hasti mein justuju teri
'adam se laa.ī hai hastī meñ justujū terī
Thaharne degī yahāñ bhī na aarzū terī
basar huī shab-e-ġham kis tarah se pūchh to le
mire taḌapne kī shāhid hai aarzū terī
hai kā'be meñ na tasallī na but-kade meñ sukūñ
mujhe kahīñ kā na rakkhegī aarzū terī
shab-e-firāq meñ ab jaan le ke niklegī
ajal ke bhes meñ aa.ī hai aarzū terī
kalīm de chuke ab merā imtihāñ le le
mujhe bhī tuur pe laa.ī hai aarzū terī
tasalliyāñ to shab-e-ġham meñ dil ko detī hai
kahūñgā tujh se to achchhī hai aarzū terī
butoñ ko marja’-e-hājat banā na ai 'rāfat'
kahīñ banā na de kāfir ye aarzū terī
'adam se lai hai hasti mein justuju teri
Thaharne degi yahan bhi na aarzu teri
basar hui shab-e-gham kis tarah se puchh to le
mere taDapne ki shahid hai aarzu teri
hai ka'be mein na tasalli na but-kade mein sukun
mujhe kahin ka na rakkhegi aarzu teri
shab-e-firaq mein ab jaan le ke niklegi
ajal ke bhes mein aai hai aarzu teri
kalim de chuke ab mera imtihan le le
mujhe bhi tur pe lai hai aarzu teri
tasalliyan to shab-e-gham mein dil ko deti hai
kahunga tujh se to achchhi hai aarzu teri
buton ko marja’-e-hajat bana na ai 'rafat'
kahin bana na de kafir ye aarzu teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.