adhura jism liye pichhe haT raha hun main
adhūrā jism liye pīchhe haT rahā huuñ maiñ
ki ik kinārā huuñ dariyā kā kaT rahā huuñ maiñ
mire vajūd ko vus.at nahīñ kisī bhī tarah
har ek samt se har roz ghaT rahā huuñ maiñ
asar-pazīr huuñ ik zalzale se hastī ke
zamīñ ke jaise har ik saañs phaT rahā huuñ maiñ
haiñ mere vāste ḳhanjar shuā.eñ sūraj kī
khulī saḌak pe huuñ har lamha kaT rahā huuñ maiñ
hai mere sāmne terā kitāb sā chehra
aur is kitāb ke aurāq ulaT rahā huuñ maiñ
pighal rahā huuñ khaḌī dhuup hai mire sar par
ki ik daraḳht kā saaya huuñ ghaT rahā huuñ maiñ
mirā vajūd shikasta sī ek naav sahī
bhañvar kī lahroñ se tanhā nimaT rahā huuñ maiñ
maiñ ik ġhazal huuñ mujhe kahiye kāvish-e-ġhālib
ki shahr shahr dimāġhoñ meñ baT rahā huuñ maiñ
adhura jism liye pichhe haT raha hun main
ki ek kinara hun dariya ka kaT raha hun main
mere wajud ko wusat nahin kisi bhi tarah
har ek samt se har roz ghaT raha hun main
asar-pazir hun ek zalzale se hasti ke
zamin ke jaise har ek sans phaT raha hun main
hain mere waste KHanjar shuaen suraj ki
khuli saDak pe hun har lamha kaT raha hun main
hai mere samne tera kitab sa chehra
aur is kitab ke auraq ulaT raha hun main
pighal raha hun khaDi dhup hai mere sar par
ki ek daraKHt ka saya hun ghaT raha hun main
mera wajud shikasta si ek naw sahi
bhanwar ki lahron se tanha nimaT raha hun main
main ek ghazal hun mujhe kahiye kawish-e-ghaalib
ki shahr shahr dimaghon mein baT raha hun main
- Book : عکس بر عکس (Pg. 44)
- Author : شارق جمال
- Publication : شاہد پریس ناگپور (1986)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.