adhura rah gaya majnun se istifada mera
adhūrā rah gayā majnūñ se istifāda mirā
so phir se dasht ko jaane kā hai irāda mirā
ajiib shāḳh thī sandal kī mujh se kahtī thī
bajā.e surma lagāyā karo burāda mirā
zarūratoñ kī kifālat usī ke zimme hai
jise ḳhayāl hai mujh se kahīñ ziyāda mirā
shaiḳh-e-nigāh tirī hāzirī ko chal niklūñ
havā-e-tauba sukhā de agar labāda mirā
tire nisār tire lutf-e-ḳhās ke qurbāñ
ki tere haath ne rakkhā hai dil kushāda mirā
adhura rah gaya majnun se istifada mera
so phir se dasht ko jaane ka hai irada mera
ajib shaKH thi sandal ki mujh se kahti thi
bajae surma lagaya karo burada mera
zaruraton ki kifalat usi ke zimme hai
jise KHayal hai mujh se kahin ziyaada mera
shaiKH-e-nigah teri haziri ko chal niklun
hawa-e-tauba sukha de agar labaada mera
tere nisar tere lutf-e-KHas ke qurban
ki tere hath ne rakkha hai dil kushada mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.