adib yun to lagate hain dhaar muddat se
adiib yuuñ to lagāte haiñ dhaar muddat se
magar milā na adab ko qarār muddat se
dabe haiñ raakh meñ jo bhī sharār muddat se
unhīñ havāoñ kā hai intizār muddat se
use laboñ pe ab aane kī tum ijāzat do
sulag rahā hai jo siine meñ pyaar muddat se
usī ne gaañv kī saarī balā.eñ rokī haiñ
jo TūTā-phūTā paḌā hai mazār muddat se
hamāre ghar ke sabhī naak kaan ḳhālī haiñ
hamāre ghar nahīñ aaya sunār muddat se
tujhe maiñ dekhūñ ki pūjūñ ki tujh se pyaar karūñ
dil-o-dimāġh meñ hai intishār muddat se
biThā ke car meñ dul.han jo le ke jaate haiñ
vo driver hī bane haiñ kahār muddat se
payāl tāpne kā aatā hai hunar us ko
jo ḳhuub khā pī rahā hai udhār muddat se
adib yun to lagate hain dhaar muddat se
magar mila na adab ko qarar muddat se
dabe hain rakh mein jo bhi sharar muddat se
unhin hawaon ka hai intizar muddat se
use labon pe ab aane ki tum ijazat do
sulag raha hai jo sine mein pyar muddat se
usi ne ganw ki sari balaen roki hain
jo TuTa-phuTa paDa hai mazar muddat se
hamare ghar ke sabhi nak kan KHali hain
hamare ghar nahin aaya sunar muddat se
tujhe main dekhun ki pujun ki tujh se pyar karun
dil-o-dimagh mein hai intishaar muddat se
biTha ke car mein dulhan jo le ke jate hain
wo driwer hi bane hain kahaar muddat se
payal tapne ka aata hai hunar us ko
jo KHub kha pi raha hai udhaar muddat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.