adil-e-waqt amiron ke zar pe palta raha
adīl-e-vaqt amīroñ ke zar pe paltā rahā
jabhī to mulk meñ zālim kā ro.ab chhāyā rahā
tamām pyāsoñ ne dariyā kā ruḳh kiyā aur maiñ
tumhāre aañsū hathelī pe le ke baiThā rahā
bahut se log bhulā.e pe vo nahīñ bhūlā
ka.ī sitāre bujhe par vo chāñd jaltā rahā
tabīb baḌhte ga.e aur marīz marte rahe
darūn-e-shahr yahī kārobār chaltā rahā
havā-e-tez mire zehn se guzartī rahī
maiñ terī yaad ke saare diye bachātā rahā
ye dhuup vaqt se pahle tapish gañvātī rahī
musāfiroñ kā safar meñ shabāb Dhaltā rahā
ye merī maañ kī duā hai jabhī to zindagī meñ
bahut sī Thokareñ khā.īñ magar sañbhaltā rahā
adil-e-waqt amiron ke zar pe palta raha
jabhi to mulk mein zalim ka roab chhaya raha
tamam pyason ne dariya ka ruKH kiya aur main
tumhaare aansu hatheli pe le ke baiTha raha
bahut se log bhulae pe wo nahin bhula
kai sitare bujhe par wo chand jalta raha
tabib baDhte gae aur mariz marte rahe
darun-e-shahr yahi karobar chalta raha
hawa-e-tez mere zehn se guzarti rahi
main teri yaad ke sare diye bachata raha
ye dhup waqt se pahle tapish ganwati rahi
musafiron ka safar mein shabab Dhalta raha
ye meri man ki dua hai jabhi to zindagi mein
bahut si Thokaren khain magar sanbhalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.