adl se munh moD kar jab munsifi hone lage
adl se muñh moḌ kar jab munsifī hone lage
saḳht kāfir jurm bhī ab maz.habī hone lage
tishnagī kī aañkh meñ be-samt tevar dekh kar
kitne dariyā-dil samundar bhī nadī hone lage
hasrateñ palne lagī haiñ phir nubuvvat ke liye
kuchh dinoñ meñ kyā ḳhabar paiġhambarī hone lage
intihā ko jab bhī pahuñche qurbatoñ kā ishtiyāq
kyā patā jibrīl kī bhī hamsarī hone lage
qalb tak pahuñchī nahīñ jin ke sharāb-e-ma.arifat
aise farzī log da.ave se valī hone lage
ishq ko ab le chaleñ aao ik aise moḌ par
pyaar meñ jo kuchh bhī ho vo bandagī hone lage
mil ga.ī haiñ vaqt ko jaane kahāñ kī vus.ateñ
in dinoñ lagtā hai lamhe bhī sadī hone lage
adl se munh moD kar jab munsifi hone lage
saKHt kafir jurm bhi ab mazhabi hone lage
tishnagi ki aankh mein be-samt tewar dekh kar
kitne dariya-dil samundar bhi nadi hone lage
hasraten palne lagi hain phir nubuwwat ke liye
kuchh dinon mein kya KHabar paighambari hone lage
intiha ko jab bhi pahunche qurbaton ka ishtiyaq
kya pata jibril ki bhi hamsari hone lage
qalb tak pahunchi nahin jin ke sharab-e-marifat
aise farzi log dawe se wali hone lage
ishq ko ab le chalen aao ek aise moD par
pyar mein jo kuchh bhi ho wo bandagi hone lage
mil gai hain waqt ko jaane kahan ki wusaten
in dinon lagta hai lamhe bhi sadi hone lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.