adna si ek chiz wafa jis ka nam hai
adnā sī ek chiiz vafā jis kā naam hai
hai to vo ek soz magar nā-tamām hai
mujh ko haqīqatoñ kī ḳhabar hai mire shu.ūr
lekin jo intizām hai vo intizām hai
ye ahl-e-eqtidār haiñ do chaar roz ke
ham haiñ hameñ to jiinā hai ham ko davām hai
gustāḳh jāntā hai mujhe ek aisā shaḳhs
jis kā mirī nazar meñ bahut ehtirām hai
maiñ us kī khoj meñ huuñ vo merī talāsh meñ
mujh ko hai us se kaam use mujh se kaam hai
raahī safar ke tuul se ghabrā rahā hai kyoñ
do chaar gaam aur ki phir iḳhtitām hai
jiinā hai achchhī baat hai jiinā isī liye
in ko bhī raam raam unheñ bhī salām hai
adna si ek chiz wafa jis ka nam hai
hai to wo ek soz magar na-tamam hai
mujh ko haqiqaton ki KHabar hai mere shuur
lekin jo intizam hai wo intizam hai
ye ahl-e-eqtidar hain do chaar roz ke
hum hain hamein to jina hai hum ko dawam hai
gustaKH jaanta hai mujhe ek aisa shaKHs
jis ka meri nazar mein bahut ehtiram hai
main us ki khoj mein hun wo meri talash mein
mujh ko hai us se kaam use mujh se kaam hai
rahi safar ke tul se ghabra raha hai kyon
do chaar gam aur ki phir iKHtitam hai
jina hai achchhi baat hai jina isi liye
in ko bhi ram ram unhen bhi salam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.