adu kahte hain main achchha nahin hun
adū kahte haiñ maiñ achchhā nahīñ huuñ
burā huuñ kyūñki un jaisā nahīñ huuñ
dar-o-dīvār haiñ hamrāz mere
akelā huuñ magar tanhā nahīñ huuñ
uThāyā thā mujhe pahlū se tū ne
kisī pahlū meñ phir baiThā nahīñ huuñ
darūn-e-dil tirī yādeñ haiñ ab bhī
maiñ tujh ko bhuul to paayā nahīñ huuñ
bichhaḌ kar bhī hañsūñ ḳhush-bāsh rah luuñ
munāfiq huuñ magar itnā nahīñ huuñ
kisī ke bas meñ ho to paar kar le
maiñ gahrā huuñ magar mailā nahīñ huuñ
samajhtī hai mujhe vo dūsroñ sā
magar maiñ dūsroñ jaisā nahīñ huuñ
alī kā chāhne vaalā thā so maiñ
akelā thā magar bhāgā nahīñ huuñ
adu kahte hain main achchha nahin hun
bura hun kyunki un jaisa nahin hun
dar-o-diwar hain hamraaz mere
akela hun magar tanha nahin hun
uThaya tha mujhe pahlu se tu ne
kisi pahlu mein phir baiTha nahin hun
darun-e-dil teri yaaden hain ab bhi
main tujh ko bhul to paya nahin hun
bichhaD kar bhi hansun KHush-bash rah lun
munafiq hun magar itna nahin hun
kisi ke bas mein ho to par kar le
main gahra hun magar maila nahin hun
samajhti hai mujhe wo dusron sa
magar main dusron jaisa nahin hun
ali ka chahne wala tha so main
akela tha magar bhaga nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.