adu ke shahr mein kab be-asar hun
adū ke shahr meñ kab be-asar huuñ
ḳhudā kā shukr hai jo mo'atabar huuñ
sitāra huuñ ki maiñ raushan qamar huuñ
duā maañ kī hai jis kā maiñ samar huuñ
bahāreñ kyuuñ na phir se lauT aa.eñ
unheñ ma.alūm hai maiñ bhī idhar huuñ
isī sahrā se merī nisbateñ haiñ
jahāñ kā maiñ hī ik vāhid shajar huuñ
mohabbat jurm hai kis ne kahā hai
batā do sab ko maiñ dil meñ agar huuñ
balā kā hausla mujh ko milā hai
bahut dushvār hai rasta jidhar huuñ
jise sun kar sabhī hairān haiñ kyuuñ
tumheñ lagtā hai maiñ aisī ḳhabar huuñ
darīche meñ jo rakkhā jal rahā hai
diyā aisā havā ke dosh par huuñ
bulandī chhū ke aa.uuñ āsmāñ kī
parinda huuñ sadā mahv-e-safar huuñ
tumhāre ahd kī huuñ munharif to
sazā mil kar rahegī bā-ḳhabar huuñ
adu ke shahr mein kab be-asar hun
KHuda ka shukr hai jo mo'atabar hun
sitara hun ki main raushan qamar hun
dua man ki hai jis ka main samar hun
bahaaren kyun na phir se lauT aaen
unhen malum hai main bhi idhar hun
isi sahra se meri nisbaten hain
jahan ka main hi ek wahid shajar hun
mohabbat jurm hai kis ne kaha hai
bata do sab ko main dil mein agar hun
bala ka hausla mujh ko mila hai
bahut dushwar hai rasta jidhar hun
jise sun kar sabhi hairan hain kyun
tumhein lagta hai main aisi KHabar hun
dariche mein jo rakkha jal raha hai
diya aisa hawa ke dosh par hun
bulandi chhu ke aaun aasman ki
parinda hun sada mahw-e-safar hun
tumhaare ahd ki hun munharif to
saza mil kar rahegi ba-KHabar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.