adu ki yar ki aisi ki taisi
adū kī yaar kī aisī kī taisī
guloñ kī ḳhaar kī aisī kī taisī
pilā de sāqiyā mai aaj phir se
is istiġhfār kī aisī kī taisī
mirā dil us taraf maa.il nahīñ hai
lab-o-ruḳhsār kī aisī kī taisī
gulū patthar banegā ishq-e-haq meñ
chhurī kī dhaar kī aisī kī taisī
qafas meñ rahne kā ḳhūgar huā huuñ
gul-o-gulzār kī aisī kī taisī
'salīm' ab sher yuuñ hī bak rahā hai
fan-o-me.ār kī aisī kī taisī
adu ki yar ki aisi ki taisi
gulon ki KHar ki aisi ki taisi
pila de saqiya mai aaj phir se
is istighfar ki aisi ki taisi
mera dil us taraf mail nahin hai
lab-o-ruKHsar ki aisi ki taisi
gulu patthar banega ishq-e-haq mein
chhuri ki dhaar ki aisi ki taisi
qafas mein rahne ka KHugar hua hun
gul-o-gulzar ki aisi ki taisi
'salim' ab sher yun hi bak raha hai
fan-o-mear ki aisi ki taisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.