adu ko maine puchha kaun ye sarkar baiThe hain
adū ko maiñ ne pūchhā kaun ye sarkār baiThe haiñ
to saale ne kahā hañs kar hamāre yaar baiThe haiñ
kahīñ lailā kā yā lailā kī maañ kā sar utāreñge
janāb-e-qais jo bāñdhe hue talvār baiThe haiñ
abe ye ghar hai terā yā koī bhaTiyār-ḳhāna hai
kahīñ do-chār leTe haiñ kahīñ do chaar baiThe haiñ
gadāgad ho rahī hai vasl kī shab terī ḳhalvat meñ
palañg par ek leTā hai to nīche chaar baiThe haiñ
savāl-e-bosa-e-gesū pe barham ho ke farmāyā
ham in gustāḳhiyoñ se muñh pe juute maar baiThe haiñ
kahā karte haiñ vālid 'būm' ke josh-e-mohabbat meñ
nahīñ ma.alūm kis jangal meñ bar-ḳhurdār baiThe haiñ
adu ko main ne puchha kaun ye sarkar baiThe hain
to sale ne kaha hans kar hamare yar baiThe hain
kahin laila ka ya laila ki man ka sar utarenge
janab-e-qais jo bandhe hue talwar baiThe hain
abe ye ghar hai tera ya koi bhaTiyar-KHana hai
kahin do-chaar leTe hain kahin do chaar baiThe hain
gadagad ho rahi hai wasl ki shab teri KHalwat mein
palang par ek leTa hai to niche chaar baiThe hain
sawal-e-bosa-e-gesu pe barham ho ke farmaya
hum in gustaKHiyon se munh pe jute mar baiThe hain
kaha karte hain walid 'bum' ke josh-e-mohabbat mein
nahin malum kis jangal mein bar-KHurdar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.