adu phir war karna chahta hai
adū phir vaar karnā chāhtā hai
guloñ ko ḳhaar karnā chāhtā hai
zarā kachche ghaḌe kā azm dekho
samundar paar karnā chāhtā hai
mirī tahzīb kī Tahnī jalā kar
mujhe talvār karnā chāhtā hai
samajh ke paḌh kalām-e-āsmānī
ye kuchh iz.hār karnā chāhtā hai
vo merī raushnī kī saltanat ko
añdherī ġhaar karnā chāhtā hai
jo sach pūchho to dil kī baat kah duuñ
ye tum se pyaar karnā chāhtā hai
adu phir war karna chahta hai
gulon ko KHar karna chahta hai
zara kachche ghaDe ka azm dekho
samundar par karna chahta hai
meri tahzib ki Tahni jala kar
mujhe talwar karna chahta hai
samajh ke paDh kalam-e-asmani
ye kuchh izhaar karna chahta hai
wo meri raushni ki saltanat ko
andheri ghaar karna chahta hai
jo sach puchho to dil ki baat kah dun
ye tum se pyar karna chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.