adu pur-lutf hai hum par jafa hai
adū pur-lutf hai ham par jafā hai
mirī jaañ kyā yahī rasm-e-vafā hai
sitam-ījād terī kyā ḳhatā hai
mirī taqdīr hī mujh se ḳhafā hai
ham apne haal ke qurbān jaa.eñ
vo farmāte haiñ tum ko kyā huā hai
tire dar par jabīñ-sā.ī se hāsil
kahīñ taqdīr kā likkhā miTā hai
tumhārī kākul-e-pechāñ se uljhūñ
mirā baiThe biThā.e sar-phirā hai
tasavvur kī fusūñ-kārī to dekho
vo goyā sāmne baiThā huā hai
abas karte ho taklīf-e-mudāvā
marīz-e-ġham kahīñ jān-bar huā hai
vo sun kar kahte haiñ fariyād 'hājir'
kisī TuuTe hue dil kī sadā hai
adu pur-lutf hai hum par jafa hai
meri jaan kya yahi rasm-e-wafa hai
sitam-ijad teri kya KHata hai
meri taqdir hi mujh se KHafa hai
hum apne haal ke qurban jaen
wo farmate hain tum ko kya hua hai
tere dar par jabin-sai se hasil
kahin taqdir ka likkha miTa hai
tumhaari kakul-e-pechan se uljhun
mera baiThe biThae sar-phira hai
tasawwur ki fusun-kari to dekho
wo goya samne baiTha hua hai
abas karte ho taklif-e-mudawa
mariz-e-gham kahin jaan-bar hua hai
wo sun kar kahte hain fariyaad 'hajir'
kisi TuTe hue dil ki sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.