afkar-e-hasin le ke ghazal aaj tak aai
afkār-e-hasīñ le ke ġhazal aaj tak aa.ī
yuuñ 'dāġh' se hotī huī 'merāj' tak aa.ī
mere dil-e-muztar kī taraf aa.ī tirī yaad
yuuñ bād-e-sabā gulshan-e-tārāj tak aa.ī
qadmoñ ne tire dhuul uḌaa.ī jo safar meñ
ai shaah vahī gard tire taaj tak aa.ī
ḳhairāt kī taqsīm amīroñ ne kī be-shak
ḳhairāt kahāñ dāman-e-muhtāj tak aa.ī
daulat ke liye apnī anā bech dī us ne
us shaḳhs ko lekin na zarā laaj tak aa.ī
jo baat bhī maiñ ne kahī mahbūb se 'merāj'
kūche se nikal kar vahī minhāj tak aa.ī
afkar-e-hasin le ke ghazal aaj tak aai
yun 'dagh' se hoti hui 'meraj' tak aai
mere dil-e-muztar ki taraf aai teri yaad
yun baad-e-saba gulshan-e-taraj tak aai
qadmon ne tere dhul uDai jo safar mein
ai shah wahi gard tere taj tak aai
KHairaat ki taqsim amiron ne ki be-shak
KHairaat kahan daman-e-muhtaj tak aai
daulat ke liye apni ana bech di us ne
us shaKHs ko lekin na zara laj tak aai
jo baat bhi main ne kahi mahbub se 'meraj'
kuche se nikal kar wahi minhaj tak aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.