afkar ke jigar mein raqsan rafu ki KHwahish
afkār ke jigar meñ raqsāñ rafū kī ḳhvāhish
ehsās ke subū meñ jaise numū kī ḳhvāhish
azmat ke aa.ine meñ apnā.iyat kā paikar
taslīm kī tamannā hai tum se tū kī ḳhvāhish
tanhā.ī kī tapish se qindīl qurbatoñ kī
rishtoñ kī tāzgī se hai guftugū kī ḳhvāhish
sahrā ke sañg-reze kohsār ke karishme
jin kī jalan kā tesha hai āb-e-jū kī ḳhvāhish
ḳhūbī pe ḳhush na honā insāniyat se nafrat
ahbāb kī burā.ī ḳhud se adū kī ḳhvāhish
ātish anā kī ubhre ḳhirman ḳhudī kā jhulse
'īmān' kaise jāge, ho aabrū kī ḳhvāhish!
afkar ke jigar mein raqsan rafu ki KHwahish
ehsas ke subu mein jaise numu ki KHwahish
azmat ke aaine mein apnaiyat ka paikar
taslim ki tamanna hai tum se tu ki KHwahish
tanhai ki tapish se qindil qurbaton ki
rishton ki tazgi se hai guftugu ki KHwahish
sahra ke sang-reze kohsar ke karishme
jin ki jalan ka tesha hai aab-e-ju ki KHwahish
KHubi pe KHush na hona insaniyat se nafrat
ahbab ki burai KHud se adu ki KHwahish
aatish ana ki ubhre KHirman KHudi ka jhulse
'iman' kaise jage, ho aabru ki KHwahish!
- Book : Shora-e-London (Pg. 38)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.