afkar ke sanche mein Dhali taza ghazal hai
afkār ke sāñche meñ Dhalī taaza ġhazal hai
yā vaqt ke pechīda savālāt kā hal hai
ye sañg kī buniyād pe ta.amīr na hogā
ye mere taḳhayyul kā hasīñ shīsh-mahal hai
maiñ apnī mohabbat kā badal DhūñD rahā huuñ
vo kaun hai jo merī mohabbat kā badal hai
ai tār-e-nafas TuuT bhī jā der na kar ab
ehsās kī bālīñ pe khaḌī kab se ajal hai
jo arsa-e-māzī hai muarriḳh kī nazar meñ
shā.ir kī nigāhoñ meñ vo guzrā huā pal hai
jo hijr ke mausam meñ khule daaġh kī sūrat
vo phuul ba-alfāz-e-digar aag kā phal hai
maiñ dars-e-tahammul huuñ 'sabā' rāh-e-talab meñ
duniyā ye samajhtī hai ki baazū mirā shal hai
afkar ke sanche mein Dhali taza ghazal hai
ya waqt ke pechida sawalat ka hal hai
ye sang ki buniyaad pe tamir na hoga
ye mere taKHayyul ka hasin shish-mahal hai
main apni mohabbat ka badal DhunD raha hun
wo kaun hai jo meri mohabbat ka badal hai
ai tar-e-nafas TuT bhi ja der na kar ab
ehsas ki baalin pe khaDi kab se ajal hai
jo arsa-e-mazi hai muarriKH ki nazar mein
shair ki nigahon mein wo guzra hua pal hai
jo hijr ke mausam mein khule dagh ki surat
wo phul ba-alfaz-e-digar aag ka phal hai
main dars-e-tahammul hun 'saba' rah-e-talab mein
duniya ye samajhti hai ki bazu mera shal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.