afsana-dar-afsana ho afsana kisi ka
afsāna-dar-afsāna ho afsāna kisī kā
allāh banā de unheñ dīvāna kisī kā
bastī thī kisī kī na ye vīrāna kisī kā
jā.egā jahāñ chāhegā dīvāna kisī kā
jis shai pe nazar kī mai-e-sarshār thī goyā
mad.hosh huā jaatā hai mastāna kisī kā
kyā shauq thā shaidā-e-sar-e-tūr ko lekin
dekhā na gayā jalva-e-jānāna kisī kā
tū kaun hai maiñ kaun huuñ kyā tujh ko batā.ūñ maiñ
hai merī haqīqat bhī to afsāna kisī kā
chheḌoge na jab tak ġham-e-gesū-e-hikāyat
mānegā na zanjīr ko dīvāna kisī kā
kyoñ shaiḳh-e-haram kuchh tirī āñkhoñ ne bhī dekhā
kā'ba bhī banā jaatā hai but-ḳhāna kisī kā
kasrat meñ bhī nairangī-e-vahdat ke haiñ jalve
chhuptā hai kahīñ rang-e-judāgāna kisī kā
sadqe tirī in jām-numā āñkhoñ pe saaqī
bhar de inhīñ paimānoñ se paimāna kisī kā
begāna vo kyoñ hosh-e-do-ālam se na rahtā
dīvāna nahīñ thā koī dīvāna kisī kā
ḳhud sham.a banā jaatā hai ye soz to dekho
jaltā hai to bujhtā nahīñ parvāna kisī kā
hotā hai to ho jaa.e fidā qadmoñ pe us ke
muñh dekhe na ab himmat-e-mardāna kisī kā
ādāb-e-mohabbat meñ nahīñ daḳhl-e-sharī.at
lāzim hai 'junūñ' sajda-e-yazdāna kisī kā
afsana-dar-afsana ho afsana kisi ka
allah bana de unhen diwana kisi ka
basti thi kisi ki na ye virana kisi ka
jaega jahan chahega diwana kisi ka
jis shai pe nazar ki mai-e-sarshaar thi goya
madhosh hua jata hai mastana kisi ka
kya shauq tha shaida-e-sar-e-tur ko lekin
dekha na gaya jalwa-e-jaanana kisi ka
tu kaun hai main kaun hun kya tujh ko bataun main
hai meri haqiqat bhi to afsana kisi ka
chheDoge na jab tak gham-e-gesu-e-hikayat
manega na zanjir ko diwana kisi ka
kyon shaiKH-e-haram kuchh teri aankhon ne bhi dekha
ka'ba bhi bana jata hai but-KHana kisi ka
kasrat mein bhi nairangi-e-wahdat ke hain jalwe
chhupta hai kahin rang-e-judagana kisi ka
sadqe teri in jam-numa aankhon pe saqi
bhar de inhin paimanon se paimana kisi ka
begana wo kyon hosh-e-do-alam se na rahta
diwana nahin tha koi diwana kisi ka
KHud shama bana jata hai ye soz to dekho
jalta hai to bujhta nahin parwana kisi ka
hota hai to ho jae fida qadmon pe us ke
munh dekhe na ab himmat-e-mardana kisi ka
aadab-e-mohabbat mein nahin daKHl-e-shariat
lazim hai 'junun' sajda-e-yazdana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.