afsana duhrane se kya hota hai
afsāna duhrāne se kyā hotā hai
is be-rahm zamāne se kyā hotā hai
Tīseñ kitnī dāġhoñ meñ rah jaatī haiñ
zaḳhmoñ ke bhar jaane se kyā hotā hai
ek qalam aur be-pāyāñ ehsās-e-darūñ
lafzoñ ke paimāne se kyā hotā hai
tahrīk-e-sīmāb-sifat ke pairoñ meñ
zanjīreñ pahnāne se kyā hotā hai
dariyā jab chāhe sāhil ko le Duube
ūñchā band banāne se kyā hotā hai
chhat par rahne vaale shāyad bhuul ga.e
buniyādeñ hil jaane se kyā hotā hai
laġhzish kā anjām kise mā'lūm nahīñ
ā.īna gir jaane se kyā hotā hai
ḳhushbū zinda hai to koī baat nahīñ
phūloñ ke mar jaane se kyā hotā hai
sachchā.ī par harf nahīñ aatā 'irfān'
afvāheñ phailāne se kyā hotā hai
afsana duhrane se kya hota hai
is be-rahm zamane se kya hota hai
Tisen kitni daghon mein rah jati hain
zaKHmon ke bhar jaane se kya hota hai
ek qalam aur be-payan ehsas-e-darun
lafzon ke paimane se kya hota hai
tahrik-e-simab-sifat ke pairon mein
zanjiren pahnane se kya hota hai
dariya jab chahe sahil ko le Dube
uncha band banane se kya hota hai
chhat par rahne wale shayad bhul gae
buniyaaden hil jaane se kya hota hai
laghzish ka anjam kise ma'lum nahin
aaina gir jaane se kya hota hai
KHushbu zinda hai to koi baat nahin
phulon ke mar jaane se kya hota hai
sachchai par harf nahin aata 'irfan'
afwahen phailane se kya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.