afsana-e-dil kya tum se kahen kuchh shad bhi kuchh nashad bhi hai
afsana-e-dil kya tum se kahen kuchh shad bhi kuchh nashad bhi hai
Shafeeq Barelvi
MORE BYShafeeq Barelvi
afsāna-e-dil kyā tum se kaheñ kuchh shaad bhī kuchh nāshād bhī hai
ye fikr-o-nazar kā qaidī hai is qaid meñ ye āzād bhī hai
is nisbat-e-ām kī duniyā meñ ab kis kī shikāyat kis se kareñ
kuchh ham bhī haiñ barbād-e-jahāñ kuchh ham se jahāñ barbād bhī hai
afsos tasalsul-e-zulf-o-ruḳh is shām-o-sahar ne toḌ diyā
be-rabt sā hai ab qissa-e-dil kuchh bhuul ga.e kuchh yaad bhī hai
ai kaash nigāh-e-shauq tujhe kuchh aur salīqa mil jaatā
kuchh zīnat-e-husn to hotī hai kuchh sa.ī-e-nazar barbād bhī hai
is dil kī tabāhī meñ shāmil kuchh un kī nigāh-e-lutf bhī hai
kuchh apne mizāj-o-tabī.at kī māyūsī-o-ġham uftād bhī hai
be-shub.h 'shafīq' ye terī ġhazal is mahv-e-tarab tak pahuñchegī
ye soz meñ Duubā sāz-e-hasīñ ik naġhma bhī hai fariyād bhī hai
afsana-e-dil kya tum se kahen kuchh shad bhi kuchh nashad bhi hai
ye fikr-o-nazar ka qaidi hai is qaid mein ye aazad bhi hai
is nisbat-e-am ki duniya mein ab kis ki shikayat kis se karen
kuchh hum bhi hain barbaad-e-jahan kuchh hum se jahan barbaad bhi hai
afsos tasalsul-e-zulf-o-ruKH is sham-o-sahar ne toD diya
be-rabt sa hai ab qissa-e-dil kuchh bhul gae kuchh yaad bhi hai
ai kash nigah-e-shauq tujhe kuchh aur saliqa mil jata
kuchh zinat-e-husn to hoti hai kuchh sai-e-nazar barbaad bhi hai
is dil ki tabahi mein shamil kuchh un ki nigah-e-lutf bhi hai
kuchh apne mizaj-o-tabiat ki mayusi-o-gham uftad bhi hai
be-shubh 'shafiq' ye teri ghazal is mahw-e-tarab tak pahunchegi
ye soz mein Duba saz-e-hasin ek naghma bhi hai fariyaad bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.